Short Sufi Spells (Chapter 1) | The Fourth Spell ====================================== Singer: Muhammad Samie Composer: Muhammad Samie Lyrics Selection & Arrangement: Muhammad Samie Poets: Sibt-e-Jaafar Zaidi & Anwar Farrukhabadi Flute & Duduk: Baqir Abbas Recording, Mixing & Mastering: Jay Ali Video Director: Muhammad Samie Post-Production: Muhammad Samie Artwork & Wardrobe: Muhammad Samie Calligraphy: Atta-ur-Rehman Video Production House: Short Sufi Films ====================================== © 2018 – Short Sufi Spells ====================================== “Banaam-e-Hussain (A.S.) is an extract from multiple poetic writings constituting metaphorical dialogues that provide poetic connotations to the events at Karbala-e-Mualla” - Samie ====================================== Follow Samie at Youtube: https://www.youtube.com/MuhammadSamie Facebook: https://www.facebook.com/MSamieOfficial Instagram: https://www.instagram.com/samie_muhammad Twitter: https://www.twitter.com/muhammadsamie Official Website: https://www.muhammadsamie.com ====================================== LYRICS: Yun raqam karta hai ik raavi-e-maghmoom-o-hazeen Aik dulha liye jata tha baraat apni kaheen Wahab-e-Kalbi tha laqab tha wo ghulam-e-Shah-e-Deen (S.A.W.W.) Door se aayi nazar us ko jo maqtal ki zameen Dil pe Shabbir ke giriya ka asar hone laga Dekh kar ganj-e-shaheedan ki taraf ronay laga Aik zameendar khara tha ye kiya us se kalam Kis ki ye faoj hai aur kis ke ye laashay hain tamaam Ye jo zakhmi hai khara laakhon mein kya is ka hai naam? Ro ke woh shakhs pukara keh hai ronay ka maqaam Hain ye jallad jo khainchay huay shamsheerain hain Aur Zehra (S.A.) ke muraqqay ki yeh tasveerain hain Yeh jo zakhmi hai khara khata hua naiza-o-teer Hai Sakhi Ibn-e-Sakhi (A.S.) aur Ameer Ibn-e-Ameer (A.S.) Hai yahi teen shab-o-roz ka pyasa Shabbir (A.S.) Ab talak subah se loota gaya baagh-e-Zehra (S.A.) Ab ye be-rehm bujhatay hain charaagh-e-Zehra (S.A.) Yun to aik zulm se aik zulm hua Sha’h pe siwa Teen sadmon mein magar sabr ka yara na raha Ik jawaan is ka bhatija tha Hassan (A.S.) ka beta Shab ko woh dulha bana subah shaheedon mein mila Us k marne ki khabar Sha’h ne jo pohnchai thi Maa dulhan ko liye sar nangay nikal aayi thi Dusra hadsa aik bhai bashakl-e-Safdar Jab se woh mar gaya seedhi nahin hoti hai qamar Ab bhi rota hai usay haaye baraadar keh kar Be-kafan laash wo us ki hai parhi darya par Abhi wo laash ajab dard se tharraai thi Bachi ik haaye chacha keh ke jo chillayi thi Teesra haadsa mein kya kahoon phatt’ta hai jigar Ik jawaan beta tha atthara baras ka Akbar Barchiyon se abhi mara gaya wo haaye pisar Haif hai dafan hui raat ko jis ki maadar Gham-e-Akbar mein usay kya kahoon kyun kar dekha Sab ne maidan mein Zainab ko khulay sar dekha Udhar to shimr ke dil mein ghubaar ki hadd thi Idhar Hussain (A.S.) ke sabr-o-qaraar ki hadd thi Ye shimr bola mere hath mein hukumat hai Hussain (A.S.) bole keh mujh par Khuda ki rehmat hai Ye shimr bola keh taqat ka mein samandar hun Hussain (A.S.) bole muqaddar ka mein sikandar hun Ye shimr bola ubharta hua jalal hun mein Hussain (A.S.) bole keh Sher-e-Khuda ka Lal hun mein Ye shimr bola mein apni jafa na choroon ga Hussain (A.S.) bole mein raah-e-wafa na choroon ga Ye shimr bola keh mein paani band kar doon ga Hussain (A.S.) bole mein is par bhi sabr kar loon ga Ye shimr bola mein haakim hun jabr karta hun Hussain (A.S.) bole mein Syed hun sabr karta hun Ye shimr bola keh tum par barha sitam hoga Hussain (A.S.) bole keh ALLAH ka karam hoga Ye shimr bola idhar barchiyaan hain bhaalay hain Hussain (A.S.) bole idhar sar kataanay wale hain Ye shimr bola kafan tak na dala jae ga Hussain (A.S.) bole keh jannat se jora aaye ga #MuhammadSamie #BanaameHussain #ShortSufiSpells

banaamehaidarbanaamehaidernadeemsarwarnohaye shimar bolamarsiyamuharrammoharramshiamatamkarbalanajaftalibmanqabatimam hussainmaula aliRasoolallahmaikada Muhammad samiesufi kalamjanam fida e haiderinusratbus ali ali