AHEMADNAGAR KI TAMIR KE LIYE AAP KI KARAMAT HAZRAT SHAH SHARIF R.A MAZOOB ke kayam doultabad ke zamane me Ahmednagar ki hisar ki tamir ka aagaz hua, ye kaam Ahmed al mulk ke ahad hukmrani me ho raha tha, tamir ke douran ek RAAKSHASNI(SHAITANI) jahir hoti hai, kaam ruk jata hai, hukumati sateh per RAAKSHASANI ko hatane ki bahut sari koshise ki jati hai lekin sab na kaam ho jate hai, is douran burhan nizam shah takht nasihn hota hai, ye rasikh al aqida Mehdavi badshah tha wo janta tha ye kaam hazrat bandagi Miyan shah Sharif R.A ke zariye hi ho sakta hai badi aqidat se aap ko doultabad se bulata hai, aap is dawat per Ahmednagar tashrif late hai, palki me sawar ho ker usi makam per aate hai jahan (RAAKSHANI )SHAITAANI jahir hoti thi, aap palki se utar ker apne hath ka asa zamin per dalte hai aur ba aawaz e buland kehte hai "MARI JAGI ACCHI TU TARI JAGI DASTI KER" yani ye jagah humari hai tu saher ke bahar ja ker rehja, iske bad wo waha se nikal jati hai, hisar ka kaam shuru ho jata hai aur takmil pata hai, Mehdavi buzurgo ki ye kefiyat hoti hai ke wo is kism ke pareshan ko halat se najat bhi dilate hai, aafat wa balayyat ko dur karte hai. Khizar Jahagirdar 8983170332 Kitab : Masoomin salehin aur Hum. Mouallif : Muhib'be Millat Hazrat Maqsub Ali khan Saheb. #Ahemadnagar#Darga